Wednesday, March 20, 2013

Khamoshi.... unkahi dastaanein.. :)

aadat nahi hume har baat labo pe laakr samjhaane ki..
na jaane aap kyu humari khamoshi ko samajh nahi paate..

aadat nahi humari ki zamaane ki rasmo ko tod k paas aa paaye...
na jaane kyu aap in dooriyon ka kaaran samajh nahi paate..

aadat nahi k kisi aur se aapko dur rakh paaye..
na jaane kyu aap humari nigaaaho ki daastano ko samajh nhi paate..

aadat hai hume k har khushi k pal ko sabke saaath bitaaye..
na jaane kyu aap un palo me humari tanhaaiyo ko samajh nahi paate...

aadat h hume k kisi k gum me usko khushi ki raah dikhaaye..
na jaane kyu aap humare gumo ko khushiyo me badal nhi paate...

aadat h humari k hum dur rehte h unse jo humara saath nahi chahte...
na jaane kyu aap humare saath hote hue b us duri ko mita nahi paate...

aadatein to bahut h humari.. achi aur buri...
na jaane kyu aap humari aadat ban k b humari aadato ko samjh nhi paate... :)

No comments:

Post a Comment