Din dhala , waqt b gujar gya
Na jaane kis tarah dil ki dhadkano ka manjar thahar gaya………..
Jiski yaad me din ka har pal nikla humara
Wo to jaan hee na paaye k kis kadar dil dukha humara………
Mausam b jab saath mera chod kr jaane lage
Yaado ka sailab bn kr aansu b behne lage………
Bheegi palko se unko apni nigaho me mehsus kiya humne
Maasum haatho ki bnakr mutthi unki chu an ko mehsus kiya humne……….
Narajgi ko unki apni galti ka humne naam diya
Unko uthakar sabki nazro me,humne khud ko hee badnaam kiya………
Kaash wo mere mann ki gehraaiyon me chupe us ehsaas ko samajh paate
Gar aisa hota to kabhi humse kuch waqt maang kar humse yu dur na jaate………..
No comments:
Post a Comment