Tuesday, August 31, 2010

Intezaaar........... :)

Aankho me aaj koi sapna ubharne laga h
Jahan b jaye nigahe, khamoshi ka aalam pasarne laga h………..

Baat uske alawa kisise karna acha lagta nhi
Baat gar use na ho to mann b kahin lagta nhi……….

Usi ki tasveer humne in nigaahon me basa rkhi h
Nazre uski raahon me hee ab humne bicha rakhi h………….

Milne ki tamanna ab din b din badhne lagi h
Besabri na jane kyuis kadar meri ab badhne lagi h………….

Deedar  jis din ho jayega in nigahon ko
Ek manzil pane ka raasta mil jayega is zindagi ko………….. 

1 comment: