Monday, August 30, 2010

Dooriyaan........


Hasrato k iss jahan me kaafile kai gujar gye
 
Reh gyi humare saath wo hai bas apno se dooriyaan….
 

Na jane kyu is manjar ka saamna krna pada humko
 
Jaane kiss baat ko lekar thi humko majbooriyaan…….
 

Dostane humare pakke the bahut iska gumaan h hume
 
Tabhi to humare rishto ko mita na saki ye dooriyaan…..
 

Har shaksh lagata rha humari yaariyon par nazar
 
Lekin humara koi kya bigadta jab hume apno k aur kareeb le aai ye dooriyaan……
 

Ishq k aalam ko samjhna aasan nhi tha kbi humare liye
 
Humko aaj uska deewanapan b samjha gyi ye dooriyaan….
 

No comments:

Post a Comment